🔍 Air India Plane Crash – Kya Pilot ki Galti Thi?
(Ahmedabad, 12 June 2025)

💥Air India Plane Crash. Sirf 60 seconds ke andar, takeoff ke baad, Air India flight AI171 (Boeing 787-8) crash ho gaya BJ Medical College ke hostel par. 275 logon ki maut ho gayi – yeh Bharat ki sabse badi air tragedies mein se ek hai.
✈️ Pilot Error ya Technical Fault?
🔸 Plane sirf 625 feet ki height tak gaya, speed thi 174 knots.
🔸 Pilots ne “MAYDAY!” call diya lekin tab tak bahut der ho chuki thi.
🧑✈️ Pilot Experience:
Captain Sumit Sabharwal: 11,500+ flying hours
First Officer Clive Kunder: 3,400+ flying hours
👉 Tata Sons ke Chairman N. Chandrasekaran ne kaha:
“Dono pilots excellent professionals the. Jab tak black box ki report na aaye, kisi par blame karna galat hoga.”
⚙️ Technical Condition:
Plane mein koi fault report nahi hua tha.
Engines bilkul theek the. Right engine March 2025 mein replace hua tha.
🎙️ Black Box mil chuka hai
Usme cockpit voice aur flight data record hua hai.
👉 Iska analysis kuch hafton mein hoga. Sach wahi batayega.
🚫 Social Media par blame mat karo!
Abhi tak koi official conclusion nahi aaya hai.
✔️ Investigation AAIB aur sarkari committee ke under chal rahi hai.
✔️ Report aane mein 1 mahina lag sakta hai